Read this random thought of someone at a site and found it true and worth sharing. A thought that should be provoked explicitly in every Pakistani's mind.
Assalam-o-Alaikum,

Jis pathan ka hum itna mazak uratay hain jokes kr k, aj wohi pathan india say na sirf apnay sobay ki balkay dosaray sobon ki bhi hifazat k liye tiyar ho giya hai.
Khuda ki kasam afsos un Pakistanio pr jo aik dosaray soubon ky logon ka mazak uratay hain. Hamaray piyary Nabi S.A.W nay farmaya:

"Musalman, Musalman ka bhai hai"

Es say pata chalta hai k hum sub bhai hain to hum aik dosaray bahiyon ko kioun tang krtay hain mazak ura kr?
Aik aur jaga farmaya:

"Koi banda us waqt tak pora Musalman nahi ho sakta jab tak kay apnay bhai k liye wohi pasand na karay jo apnay liye pasand krta hai"

Es say pata chalta hai k agr aik chese hamaray sobay main hai ya hamein mil rahi hai kahin say, tu hamein usay dosaray soubon say share krni chahiyey ya agr kisi aik Musalman k pas achi chese hai to wo apnay dosaray Musalman bhai say share karay.
Aik aur hadees hai:

"Apas main qata taluk na karo aur aik dosaray k dar pay na raho aur apas main bughuz na karo aur hasad na karo and aye ALLAH kay bando sub bhai ho kr raho"

Hr souba aik khas takat rakhta hai jaisay Punjab aur Sindh agr education main agay hain to Sarhad aur Baloch takat aur jazba-e-eman aur jihad main agay hain. Es main say koi aik takat bhi kam hui to Pakistan mukamal nahi hai

Respect Pathans and not only Pathans but respect Pakistan and its poeple, and don't forward lame jokes related to anyone.

Msg from Punjab to all Pakistanis...
Main ye baat es liye keh raha hon kay ye msg kisi Punjabi ki taraf say hai takay koi ye na samjhay kay kisi Pathan nay ye likh kr forward kr diya hai. Warna main kabhi ye na likhta kay ye msg Punjab ki taraf say hai. Balkay main likhta kay "its a msg from a Pakistani to all other beloved Pakistani fellows"
:)

---
Love u Pakistan!
May Allah give Pakistanis more knowledge of Islam along with science, power, respect, n resources n increase brotherhood among all of us n finally please make us gud Muslims
AMEEN

ALLAH Hafiz


DO Give it a thought =)