Yeh Dil-o-Demagh kia hain? Jism mai kaam krnay walay mehaz do purzay, inki apni koe ehmiyat ya infiradiyat hai? Kia dil ka kaam sirf dharakna aur demagh ka sochna hai? Tu aksar awqat kyun yeh aik dosray ke zimmaydari sambhal laity hain, insaan dil say sochna lagta hai aur demagh ky chalay baghair uska guzara nahe hota. Yeh Dil-o-Demagh mai khamosh jang kabsay jari hai? kay jo Demagh sochta hai woh Dil ke samjh sy bahir hai aur jo Dil ke baat hai woh Demagh ke bisat pr pura nahe utarte.
Kyun in do hissun say any wali awazain yun mehsoos hoti hain ke shayad yeh hum nahe koe aur bol raha hai, Demagh ke suno tu yun lagta hai ke shayd koe patthar dil insaan ho jissay dunya ke siwaye aur kuch na malum ho, Dil ke suno tu yun mehsoos hota hai ke jaisy sadyun sy soya hua insaan yak dum jag gaya ho, ussay jaisy kissi nay sakht takleef kay alam mai jagaya ho. Kaun hain yeh do? aur kia yeh hamara hissa nahe hain? Har mushkil, museebat, kashmakash aur faislay kay waqt kyun inki yeh khamosh jang ubhar kr bhair ajate hai pehlay say bhe kaheen zyada takatwar andaz mai. Bazahir tu insaan bahir say pur-sukoon aur pur-aetimad dekhae daita hai magar yeah jang ander say na janay kia kia tabah kr jate hai. Apnay he jism kay hissun ke yeh jang bhari nuksan kay ilawa kuch nahe dayte, Dil sy liya gaya ghalat faisla sari zindagi demagh mai bhayanak yaadoun ke shakal mai zakheera chor jata hai, aur demagh sy kiya gaya ghalat faisla dil ke dharkanun ko bekar krdaita hai, har guzarta lamha totay dil ky baes jism ko maflooj krta jata hai.
Kyun yeh dunya kay loug Demagh sy faisla krnay walun ko zaheen, akalmand aur aksar awqat bayhis aur Dil ke sunnay walun ko hassas, fankar aur aksar awqat bewakoof kehty hain? Yeh sab kehnay walay khud kin maddun ka saath daity hain Dil ka ya Demagh ka?Insaan kia aik he baar he soch lay ke ussay kiska sath dena hai Dil ka ya Demagh ka, magr yeh faisla bhe asaan nahe kyunky phrsay wohi jang aur wohi silsilay jag jayengay. Insaan tu mar jayega magr kia woh akhri waqt tak inhi ke jang kay nataij bhugatta rahay ga.
Wasif Ali Wasif kehty hain ke:
Aj ka insaan sukoon ke khatir Assmanun kay darwazay kholnay chala gaya hai, laikin uss say dil ka darwaza nahe kholta
Shayd in Dil-o-Demagh ko kholnay wali ya chalany wali jabi aik he ho, magr humnay apni asaish samjhtay hoye inhain khud do hissoun mai bant rakha hai. Kia bura hai ke hum in donun ke mushtarka takat say he apnay kaam ko bajaye museebat bnanay kay asan krain.
Kia Mushkil hai!