Yeh Dil-o-Demagh kia hain? Jism mai kaam krnay walay mehaz do purzay, inki apni koe ehmiyat ya infiradiyat hai? Kia dil ka kaam sirf dharakna aur demagh ka sochna hai? Tu aksar awqat kyun yeh aik dosray ke zimmaydari sambhal laity hain, insaan dil say sochna lagta hai aur demagh ky chalay baghair uska guzara nahe hota. Yeh Dil-o-Demagh mai khamosh jang kabsay jari hai? kay jo Demagh sochta hai woh Dil ke samjh sy bahir hai aur jo Dil ke baat hai woh Demagh ke bisat pr pura nahe utarte.
Kyun in do hissun say any wali awazain yun mehsoos hoti hain ke shayad yeh hum nahe koe aur bol raha hai, Demagh ke suno tu yun lagta hai ke shayd koe patthar dil insaan ho jissay dunya ke siwaye aur kuch na malum ho, Dil ke suno tu yun mehsoos hota hai ke jaisy sadyun sy soya hua insaan yak dum jag gaya ho, ussay jaisy kissi nay sakht takleef kay alam mai jagaya ho. Kaun hain yeh do? aur kia yeh hamara hissa nahe hain? Har mushkil, museebat, kashmakash aur faislay kay waqt kyun inki yeh khamosh jang ubhar kr bhair ajate hai pehlay say bhe kaheen zyada takatwar andaz mai. Bazahir tu insaan bahir say pur-sukoon aur pur-aetimad dekhae daita hai magar yeah jang ander say na janay kia kia tabah kr jate hai. Apnay he jism kay hissun ke yeh jang bhari nuksan kay ilawa kuch nahe dayte, Dil sy liya gaya ghalat faisla sari zindagi demagh mai bhayanak yaadoun ke shakal mai zakheera chor jata hai, aur demagh sy kiya gaya ghalat faisla dil ke dharkanun ko bekar krdaita hai, har guzarta lamha totay dil ky baes jism ko maflooj krta jata hai.
Kyun yeh dunya kay loug Demagh sy faisla krnay walun ko zaheen, akalmand aur aksar awqat bayhis aur Dil ke sunnay walun ko hassas, fankar aur aksar awqat bewakoof kehty hain? Yeh sab kehnay walay khud kin maddun ka saath daity hain Dil ka ya Demagh ka?Insaan kia aik he baar he soch lay ke ussay kiska sath dena hai Dil ka ya Demagh ka, magr yeh faisla bhe asaan nahe kyunky phrsay wohi jang aur wohi silsilay jag jayengay. Insaan tu mar jayega magr kia woh akhri waqt tak inhi ke jang kay nataij bhugatta rahay ga.
Wasif Ali Wasif kehty hain ke:
Aj ka insaan sukoon ke khatir Assmanun kay darwazay kholnay chala gaya hai, laikin uss say dil ka darwaza nahe kholta
Shayd in Dil-o-Demagh ko kholnay wali ya chalany wali jabi aik he ho, magr humnay apni asaish samjhtay hoye inhain khud do hissoun mai bant rakha hai. Kia bura hai ke hum in donun ke mushtarka takat say he apnay kaam ko bajaye museebat bnanay kay asan krain.
Kia Mushkil hai!
May 3, 2008 at 2:57 AM
bahut khoob, ap ka zabaan per uboor qabil-e-zikr hai :)
lekin urdu ka asl maza urdu khush-khat mai hee poshida hai, nahee?
May 3, 2008 at 12:07 PM
Shukriya apka :)
Maagar fil waqt wasail na honay ke wajah say mai yeh nahe krsakte, aur zaban tu zaban hai bolay say he samajh mai ate hai likkhay say nahe :)
May 3, 2008 at 12:42 PM
Mind works logically. Heart works at a level of abstraction. The absolute truth cannot possibly be explained in terms of human knowledge and logic. Hence a human must listen to the voice of truth, his heart.
May 3, 2008 at 5:45 PM
@ ammar funni aur rohani tehrer kisii bhi zaban ki mohtaaj nai hoti
May 3, 2008 at 11:22 PM
woh kai kehtay hain k yah jang azal say hay aur abud tak rahay gee in dono main...first voice which you listen go with it either its mind or heart.But most of the time heart speaks before mind least fear of consequnces while mind keep on juggling with reasons...
July 26, 2009 at 9:24 AM
Umda tehreer hai. MashaAllah.
laikin mujhe hamesha aisa lagta hai ke aik MOMIN ke dil aur dimagh ke mehsoosaat aur khayalaat mein tazaad nahi hota. Wallahu a'alam!
July 28, 2009 at 3:39 PM
یقین مانیں، رومن اردو پڑھنے کی کوشش میں میرے دماغ کا دہی ہوگیا ہے
:shock:
July 29, 2009 at 11:09 PM
در اصل جس وقت یہ مضموں میں نے لکھا تھا اس وقت آسانی سے اردو لکھنے کا کوئی تریکا کار نہیں تھا اسی لیہ رومن اردو سے ہی کام چلا لیا . مگر انشاللہ وقت ملنے پر اسے اردو میں ضرور لکھوں گی
August 10, 2009 at 12:19 AM
اور میرے دماغ کی لسی
:D :D :D
تھیم عمدہ ہے آپکے بلاگ کا
August 18, 2009 at 5:06 PM
Shukriya Duffer Sahab :P
September 10, 2009 at 7:05 PM
Bouhat Accha Likha Hai :-) Mere Khayaal Se Agar Dil O Dimaag Ko Aik Doosre Ka Dushman Kaha Jaye To Yeh Dushman Ban Jayeinge Aur Agar Aik Doosre Ka Dost Kaha Jaye To Dost Ban Jayengei, v easy. Sacch Kaha Ke Duniya Dimaag Ki Sunne Waloon Ko Akalmand Aur Dil Ki Manne Waloon Ko Aksar Bewaqoof Kehti Hai, Lekin Duniya Ka Kya Hai, Yeh To Buhat Kuch Kehti Rehti Hai :-P I think: Jis Baat Mein Apka Dil O Dimaag Dono Mutamain Hain, Wohi Baat/Kaam 100% Sahi Hai - Jis Mein Aik Bhi Sath Nahin, Chahe Wo Dil Ho Chahe Dimagh, To Us Baat/Kaam Mein Kahin Na Kahin Phir Koi Kami Hai [my view] :-) nice blog btw.
September 19, 2009 at 1:36 AM
Your blog has been given an award. Please accept is as a token of appreciation. Here it is:
http://forsaker.wordpress.com/2009/09/18/my-blog-is-fabulous/
I know I have never commented on your blog. I have been a reader since looong though. :)
September 19, 2009 at 5:22 PM
Mishall: Mai apki baat szy 100% mutaffiq hun :) Meray blog pr apko Khush Amdeed :)
Samah:Oh thanx a ton for this gracious award :) Really I didnt know I had silent readers as well :D Am really glad that now I do know about it :) and I welcome you here :)
April 19, 2010 at 3:22 AM
It is something I have thought alot about.... and here u have described it in very precise manner..
A gr8 post
April 19, 2010 at 3:23 AM
It is something I have thought alot about.... and here u have described it in very precise manner..
A gr8 post
April 29, 2010 at 2:16 AM
Thanks alot Zeeshan :)